Pages

Monday 29 October 2012

Meri Chahat ka sar-e-aam charcha na karo


Meri chahat ka sar-e-aam to charcha na karo..

Meri chahat ka sar-e-aam* to charcha na karo,
Kam to pehle bhi nahin aur to ruswaa na karo,
Kabhi jugnu, kabhi taarey, kabhi nargis keh kar,
Tum meri aankhon ko is tarah chairra na karo,
Bhaamp* jaye na kahin dil ki lagi yeh dunyaa,
Yu’n shafaq ban ke mere chehre pe thehra na karo,
Baat choti si bhi afsaana bana deti hai,
Tum kitaabon pe mere naam ko likha na karo,
Hai ibaadat ki tarah naam tumhara bhi mujhe,
Tum saheefey ki tarah tum mujhe socha na karo,
Dil ko bechain sa karti hain tumhari aankhain,
Raat ko der talak tum mujhe socha na karo,
Saamney sab ke kare kis tarah iqraar Batool,
Yu’n sar-e-bazm* to is se yeh taqaaza na karo..

Bachpaney ki neend ki to ab khwab ho gayi



Woh bachpaney ki neend ki to ab khawb 

ho gayi,
Kya umar thi ke raat huyi aur so gaye..

Bohat koshish ki magar faasila mitaa na saka..

Bohat koshish ki magar faasila mitaa na saka,
Main lamha bhar ke liye bhi us ko apnaa na saka,
Yun to zindagi ke safar mein keyi humsafar miley humko,
Lekin us ki tarah dil mein koi ghar banaa na saka,
Lagtaa tha dar mujhe tanhaai se bohat,
Shayed issi liye doston ko azmaa na saka,
Is se barh kar aur kya ho, meri mohabbat ka saboot,
Jis ne ghar jalaya mera, uss ke khat tak jalaa na saka,
Barson mene ki thi jis ke qurb ki khawhish Waqas,
Aj woh mera muntazir tha, magar mein qadam barhaa na saka..

Ghazal